Ek Din Achanak Part 34
Jay Sonali aur Raj ki shaadi ki photo dekhkar chaunk gaya aur uski halat dekh kar Raj aise muskura raha tha kaise usne koi khajana pa liya hai. Shayad sahib hi tha kyunki Jay ko harana aur Sonali ko pana to uska hamesha se hi khwaab tha jo poora bhi ho chuka tha ek tarah se.
Lekin Jay ke dil par jaise kisi ne churi chala di ho aisi uski halat ho gayi thi. Wo sochne laga ki Sameer tak to baat theek thi lekin Sonali Raj se shaadi karne ke liye tayyar kaise ho gayi. Aur apna sar pakadkar wahin jameen par baith gaya aur Raj uske upar hansta huya wahan se chala gaya.
Itne mein baaki dost bhi sabhi se haath milakar wahan aaye aur unhone Jay ko sar pakadkar baithe huye dekha. Sab uski taraf daud kar aaye aur use room mein le gaye. Wahan unhone use paani pilaya aur tabiyat poochi.
Jay ne Raj ki saari baatein Ravi aur Pawan ke saamne rakhi jise sunkar dono ke chehre par ascharya aur gusse ka mila jula roop dekhne ko mila. Sanju, Diya, Riya aadi ke poochne par Pawan ne saari kahani short mein sabko suna di jise sunkar sabko Jay se ek hamdardi si ho gayi.
Agle din doston ki mandli ne Raj ke ghar jaakar sachhai jaanne ki sochi aur ismein school ke tournament ka schedule sabse bada fayde wala sidh huya kyunki agle din Raj ki team ka kisi aur team se match tha aur Jay wali team ka us din koi match nahin tha.
Classes se tournament ke liye waise hi chutti mili huyi thi to sabne decide kiya agle din jaakar sachhai pata karenge. Halanki Jay ka man nahin tha jaane ka lekin use bhi jabardasti saath le liya gaya. Iska ek mukhya kaaran ye bhi tha ki Jay hi to Sonali ko pehchaanta tha.
Agle din subah subah sab tayyar hokar ek jagah ikattha ho gaye aur chal diye Raj ke ghar. Raj ka ghar kaafi bada tha jaise kisi bhi rais aadmi ka hota hai. Lekin kehte hain na “Unchi dukaan feeke pakwaan” wali kahawat uske ghar par poori charitarth hoti thi. Matlab bahar aur andar se to ghar dekhne mein sundar tha lekin us ghar-pariwaar ke logon ke man mein kitna mail tha ye shayad hi koi jaanta hoga.
Raj ka baap Sinha ek ayyash kisam ka aadmi tha. Duniya ki najron mein dharma karam karne wala asal mein har aapradhik parivitri mein shaamil tha. Jurm ki duniya ka koi bhi kaam usse achoota nahin tha. Us Duniya mein sab use Munna ke naam se jaante the. Lekin uske bete Raj ko uski is sachhai ka pata nahin tha par ghar par khula mahaul, parvarish mein kami aur galat sangat uske bigadne ke pramukh kaaran the.
Halanki uske kai shaagird the lekin uske pramukh karyakarta kuch school, college ke chatra the jo masoom hone ke kaaran hamesha doosron ke shaq ke dayre se bach nikalte the lekin saare ke saare ek se badhkar ek khatarnak, shaatir aur khoonkhar.
Bas fir kya tha sab pahunch gaye Sonali ke ghar. Pehle diya aur Riya andar gayi aur chaukidaar ko andar kehlawakar bhej diya ki uske school ke kuch dost usse milne aaye hain. Pehle to andar se mana kar diya gaya lekin jab Sinha sahib ne ladkiyon par najar dali to unki aankhon mein ek chamak si dikhi.
Lekin shayad ladkon ka saath mein aana Sinha ko achha nahin laga. Lekin jab usne sabko andar jaane ke keh hi diya to kya kar sakta tha. Sab Sonali se milne andar uske kamre mein chale gaye jahan use dekhkar apna Jay buri tarah shocked ho gaya.
Sonali ka khubsoorat jism ek bejaan laash jaisa use lag raha tha. Kal tak jahan uske chehre par muskurahat dikhayi deti thi wahin aaj Jay ko wahan dukh aur bebasi ke siway kuch najar nahin aa raha tha. Itni kam umar mein hi uski aankhon ke neeche gehre kale dhabbe ubhar aaye the, poora shareer itna kamjor ho gaya tha ki aap usmein se uski haddiyan tak gin sakte ho. Kal tak jo Sonali chahakti rehti thi aaj wohi ek gumnaam si jindagi jee rahi thi.
Halanki iske liye kaafi had tak wo khud jimmedaar thi lekin Jay aaj bhi use behad pyaar karta tha aur use aisi halat mein nahin dekh sakta tha.
Sonali ne sab logon ko dekha to poocha ki “aap sab kaun hain. Maaf kijiyega maine aapko pehchaana nahin” Aisa usne isliye kaha kyunki Jay sab doston ke peeche khada tha aur Sonali ne use abhi tak dekha nahin tha. Jay aage aaya aur usse Sonali ka aamna-saamna huya.
Laga jaise waqt tham gaya ho. Dono ek dusre ki najron mein dekh rahe the. Jay uski halat dekh kar khoon ke aansu ro raha tha. Jis ladki se wo itna pyaar karta tha, jiske liye wo apni jaan ki baazi tak laga sakta tha aaj wohi ladki uske saamne hai aur wo use chu bhi nahin sakta kyunki ab wo kisi aur ki amanat ban gayi hai.
Sonali se Jay ki aankhon ka saamna nahin kiya gaya kyunki uski ankhon mein sachhai aur Sonali ko apne kiye par pachtava. Bas wo itna hi bol payi “Tum yahan kyun aaye ho”
Jay ko to vishwaas hi nahin huya ye sab sunkar. Lekin phir usne socha ki jab Sonali ne usse saare rishte tod liye the to wo kyun iski jaati jindagi mein dakhalandazi kar raha hai. Lekin ye to wo jaroor pooch kar rahega ki usne Raj, jise wo Jay se bhi jyada nafrat karti thi, se shaadi kyun ki. Usne ek baar sab doston ki taraf dekha to sab samajh gaye aur dheere dheere karke us kamre se bahar nikal gaye aur bahar hall mein pade sofe par baith kar magazines padhne lage ya samay kaatne lage jab tak Jay Sonali se baat na kar le.
Sabke jaane ke baad Jay Sonali ke paas aaya to usne apne dil mein umad rahe sawal ko poocha to Sonali ne ek baar uski aankhon mein dekha aur ro padi. Aur kehne lagi “Jay mujhe maaf kar do. Maine tumhe dhokha diya tha. Shayad bhagwaan ne isi ki saja mujhe di hai. Meri kismat mein tumhara pyaar nahin yahan ghut ghut kar jeena likha tha. Lekin maine jo tumhare saath kiya uske liye ye saja bhi kuch nahin hai. Pls tum chale jao yahan se aur laut kar kabhi mat aana”
Jay ye sunkar hairan tha aur baar baar poochne par Sonali ne use Sameer se lagav aur Jay se berukhi ka kaaran bhi bata diya. Pehle to Jay ko bahut gussa aaya ki daulat, shauhrat ke liye insaan kya itna gir jaata hai ki pyaar aur dosti uske liye kuch mayne nahin rakhte lekin phir usne Sonali ki halat par gaur kiya aur dekha ki use apne kiye ki saja mil chuki hai aur kaafi had tak usne prayaschit bhi kar liya hai. Jay ne aage poocha ki jab sab theek tha to usne Raj se shaadi kyun ki jabki wo to usse sabse jyada nafrat karti thi. Jab Sonali ne bataya ki iski wajah bhi tum ho to Jay shocked ho gaya.
“Kya bakwaas kar rahi ho. Main kaise wajah ban gaya. Jo ho raha hai tumhare saath sahi ho raha hai. Tum isi layak ho. Jab dekha ki Sameer ke paas jyada paise hain to mujhe chodkar uske paas chali gayi aur jab pata chala ki Raj Sameer se jyada ameer hai to Sameer ko bhi chodkar Raj se shaadi kar li hogi. Mujhe nahin pata tha ki jis ladki se maine kabhi itna pyaar kiya tha wo paison ki itni lalchi niklegi. Mujhe to apne upar ghin aa rahi hai ki maine kabhi tum jaisi ladki se pyaar bhi kiya tha”
Sonali ro padi ye sab sunkar. Rote huye usne kaha “Nahin Jay ye sach nahin hai. Please meri baat ek baar sun lo. Phir jee bhar ke mujhe galiyan de lena.” Iske baad Jay thoda shaant huya lekin uska man abhi bhi kasmakash mein tha. Dil abhi bhi use galat nahin maan raha tha lekin dimaag ka kya kare jo cheekh cheekh kar keh raha tha ki Sonali dhokebaaz hai. Sonali ne Jay ke aane, use dekhe jaane, aur phir Sameer ke rishte tode jaane ki saari baat Jay ko bata di.
Jay ko to jaise ek jhatka sa laga aur use is samay apni bevkoofi par gussa aa raha tha ki uski ek l naadani ki wajah se hi Sonali ki jindagi jo khusiyon se bhar sakti thi ujad gayi thi. Lekin phir usne poocha “To Raj se shaadi kyun ki tumne”
To be continued....
Saba
13-Jan-2022 08:48 PM
Nice
Reply
Kareem
13-Jan-2022 08:28 PM
Wow
Reply
Ayra S
23-Dec-2021 04:08 PM
Nice
Reply